Koi Umeed Bar Nahi Aati - Mirza Ghalib Poetry

Koi-Umeed-Bar

Mirza Ghalib Ghazal

Koi Umeed Bar Nahi Aati,
Koi Soorat Nazar Nahi Aati�
Umeed = Hope; Bar = Upon; Soorat = Way, Path;
Mout Ka Aik Din Muayyan Hai
Neend Kion Raat Bhar Nahi Aati..?
Muayyan = Fixed
Aage Aati Thi Haal-E-Dil Pe Hansi,
Ab Kisi Baat Pe Nahi Aati�
Hansi = Laugh
Janta Hun Sawab-E-Taa�at-O-Zohad,
Par Tabiyat Idhar Nahi Aati�
Taa�at = Obedience; Tabiyat = Nature

Hai Kuch Aisi Hi Baat Jo Chup Hun,
Warna Kia Baat Kar Nahi Aati�

Kion Na Cheekhon Ke Yaad Karte Hain,
Meri Aawaz Gar Nahii Aatii..
Cheekhon = Shrike
Daagh-E-Dil Gar Nazar Nahi Aata..
Bu Bhi Aye Charah_Gar Nahi Aati�
Daagh-e-dil = Spot of Heart; Bu  = Smell;
Hum Wahan Hai Jahan Se Ham Ko Bhi,
Kuch Hamari Khabar Nahi Aati�

Marte Hain Aarzoo Mein Marne Ki,
Mout Aati Hai Par Nahi Aati�

Ka�bah Kis Munh Se Jao Ge �Ghali�
Sharam Tum Ko Magar Nahi Aati�


Video

Koi Umeed Bar Nahi Aati, Lyrics Sang by Rahat Fateh Ali Khan

We Offer's 1100 Characters SMS Without Registration

Send Free SMS|Receive SMS From Mobile| Send Free Worldwide SMS

24 Hours Active Server And Fastest SMS Delivery With Long Characters Support.

____________________SMS / Post End____________________

Back Top

0 comments:

Post a Comment