Nasir Kazmi Poetry - Ghazal
Dil Mein Ik Leher Si Uthi Hai Abhi,
Koi Taza Hawa Chali Hai Abhi�.
Koi Taza Hawa Chali Hai Abhi�.
Leher = Wave; Taza = Fresh
Shoor Barpa Hai Khana-e-Dil Mein..
Koi Deewar Si Giri Hai Abhi�
Koi Deewar Si Giri Hai Abhi�
Shoor = Noise; Barpa = Induced; Khana = Home
Bhari Duniya Mein Jee Nahi Lagta
Jane Kis Cheez Ki Kami Hai Abhi�
Jane Kis Cheez Ki Kami Hai Abhi�
Bhari = Full
Yaad Ke Be-Nishaan Jazeeron Mein
Teri Awaaz Aa Rahi Hai Abhi�
Teri Awaaz Aa Rahi Hai Abhi�
Be-Nishaan = Unmarked; Jazeeron = Islands
Shehar Ki Be Chiraagh Galiyon Mein
Zindagi Tujh Ko Dhoondti Hai Abhi�
Shehar = City; Be-Chiraagh = Without Lamps;
So Gaye Log Is Haweli Ke
Ik Khirki Mager Khuli Hai Abhi..
Ik Khirki Mager Khuli Hai Abhi..
Haweli = Mension; Khirki = Window; Khuli = Opened;
Waqat Acha Bhi Aaye Ga �Nasir�
Gham Na Kar Zindagi Pari Hai Abhi�
Gham Na Kar Zindagi Pari Hai Abhi�
Gham = Grief
0 comments: