Aankhen Bheeg Jati Hain - Wasi Shah Shayari

Aankhen-bheeg-jati-Wasi-Shah

Wasi Shah Poetry - Love Poetry

Samandar Mein Utarta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain,
Teri Aankhon Ko Parhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain�

Tumhara Naam Parhne Ki Ijazat Cheen Gai Jab Se,
Koi Bhi Lafz Parhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain�.

Cheen = Snached;

Mein Hans Ke Jhail Leta Hun, Judai Ki Sabhi Rasmain,
Galey Jab Us Ke Lagta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain�

Jhail = bear; Rasmain = Rituals;

Na Jane Ho Gaya Hun Is Qadar Hasas Mein Kab Se..?
Kisi Se Baat Karta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain�

Hassas = Sensitive;

Wo Sab Guzre Hue Lamhaat Mujh Ko Yaad Aate Hain,
Tumhara Khat Jo Parhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain�

Mein Sara Din Bohat Masroof Rehta Hun Mager Joonhi,
Qadam Chokhat Pe Rakhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain�

Chokhat = Threshold

Har Ik Muflis Ke Mathe Par Alam Ki Daastanein Hain,
Koi Chehra Bhi Parhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain�

Muflis = Destitute; Alam = Tragic; Daastanein = Stories;

Barey Logon Ke Unchey, Bad_Numa, Sard Mehloon Koi,
Ghareeb Aankhon Se Takta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain�

Unchey = High; Bad_Numa =  Graceless; Mehloon = Menses; Takta = To See

Tere Kooche Se Ab Mera Taaluq Waajbi Sa Hai,
Magar Jab Bhi Guzarta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain�

Kooche = Neighborhood; Taaluq = relation; Waajbi = Obligatory

Hazaar Mausamon Ki Hukmarani Hai Mere Dil Pe �Wasi�
Mein Jab Bhi Hansta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain�.!

We Offer's 1100 Characters SMS Without Registration

Send Free SMS|Receive SMS From Mobile| Send Free Worldwide SMS

24 Hours Active Server And Fastest SMS Delivery With Long Characters Support.

____________________SMS / Post End____________________

Back Top

0 comments:

Post a Comment