Kuch To Hawa Bhi Sard Thi, Kuch Tha Tera Khayal Bhi,
Dil Ko Khushi Ke Sath Sath Hota Raha Malaal Bhi
(Sard=Cold; Malaal=Sorrow)
Baat Wo Aadhi Raat Ki, Raat Wo Poore Chand Ki,
Chand Bhi Ain Chait Ka Uss Pe Tera Jamaal Bhi
(Chet=Name of a month; Jamaal=Beauty)
Sab Se Nazar Bacha Ke Wo Mujh Ko Tha Aise Dekhta,
Ek Dafa To Ruk Gai Gardish-e-Mah-o-Saal Bhi
Dil To Chamak Sake Ga Kya, Phir Bhi Taraash Ke Dekh Lo
ShishaaGaran-e-shahar Ke Hath Ka Ye Kamaal Bhi
(Taraash=Polish; ShishaaGaran=Glazier)
Us Ko Na Pa Sake The Jab Dil Ka Ajib Haal Tha,
Ab Jo Palat Ke Dekhiye Baat Thi Kuch Muhaal Bhi
(Muhaal=Difficulty)
Meri Talab Tha Ek Shakhs Wo Jo Nahin Mila To Phir,
Haath Dua Se Yun Gira Bhool Gaya Sawaal Bhi
(Talab=Quest)
Shaam Ki Nasamajh Hawa Pooch Rahi Hai Ek Pata
Mauj-e-Hawa-e-Ku-e-Yaar Kuch To Mera Khayaal Bhi
(Nasamajh=Naive)
Us Ke Hi Bazoun Main Aur Us Ko Hi Sochte Rahe
Jism Ki Khwahishon Pe The Ruh Ke Aur Jaal Bhi...
0 comments: